Friday, April 06, 2007

Satsang ke kuch bindu :

Ek baar Akbar ke paas ek bhikari(begger) aaya, use kuch baat lag gayi. Usko viragya jaga aur Parmatma prapti ki aur lag gaya. Kuch hi samay me woh bada prasidh ho gaya aur sant ban gaya. Us sant ke bare me Akbar ko pata chala to woh bhi darshan karne ke liye gaya. Sant ke aage namaskar karke bola – Maharaj kisi vastu ki awasyakta ho to ni-sankoch bata dena.
Sant (former begger) said Raja ji, mujhe to kuch nahi chahiye lekin yadi aapko kuch zaroorat ho to mujhe bolna.

Bapu Ji added : "kahan to bhikari, lekin anter chetna ke prakash se kitna samarthya aa gaya"
Hum sab bhi athah samarthya hote hue bhikari hi hai. kyonki apni asli shakti ko nahi jaan paye. Kab tak asli sukh se door rahoge lala ? Ab to samajh jao. Shor sharabe ki apeksha shant hokar andar ka sukh pao.
Bapu Ji sung the kirtan with dyan
"Hare Ram Hare Ram, Ram-Ram Hare Hare !
Hare Krishna Hare Krishna, Krishna-Krishna Hare Hare!!"

Narayan Hari

No comments: