Saturday, April 07, 2007

Satsang in Chandigarh Ashram [07-April-2007]

Aaj ke satsang me Bapu Ji ne Om-Om ka bahut der tak gunjan karvaya phir shant hone ko kaha. kab tak idhar udhar bhatakna ? ab to apne me sthit hone ki kala sikh lo.
Aaj ka satsang mool roop se maun ki mahima aur dhyan, kirtan ke bare me tha.

Narayan Hari
Aaj ke satsang ke kuch bindu:

Kuch baate jaan lo :
1) Sharir swapna hai aur badalne wala hai. Isme asakti rahegi to dukho se peecha nahi chutega.2) main chetan swaroop hoon. Woh sat hai, chetan hai, gyan swaroop hai, anand swaroop hai.3) main duki hoon, main beemar hoon, main 60 saal ka hoon mera beta aisa hai... aadi aadi. yeh sabhi manyataye kalpanik hai."So sahib sat sada hazoore, andha janat ta ko doore."
paath karo aur paath karke shant ho jao, uske anubhav me dhoob jao.jaap karo aur jaap karke shant ho jao, parmatma ke dhyan me doob jao.to parmatma bahut jaldi milenge aur yahi dukh mitane ka sundar tarika hai.
"Jaisa sapna rain ka taisa yeh sansar."
4) Usi main aaram pao. usi mein chup ho jao. Nind nahi, aalasya nahi, kalpna nahi varan vishram pao. Samay bahut kimti hai. kaun pata nahi kab aur kahan se chal de.
har yug ka apna ek taran mantra hai. satyug ka apna taran mantra hai, treta yug, dwapar yug ka bhi apna mantra hai.
kalyug ka bada saral mantra hai.
"Hare Ram Hare Ram, Ram Ram Hare Hare, Hare Krishna Hare Krishna Hare Hare!!"
Sansar ko apne se milana, Aur Rab ko apne se hatana asambhav hai.
Jisko chod na sake woh hai parmatma.

Narayan Hari

Friday, April 06, 2007

Satsang ke kuch bindu :

Ek baar Akbar ke paas ek bhikari(begger) aaya, use kuch baat lag gayi. Usko viragya jaga aur Parmatma prapti ki aur lag gaya. Kuch hi samay me woh bada prasidh ho gaya aur sant ban gaya. Us sant ke bare me Akbar ko pata chala to woh bhi darshan karne ke liye gaya. Sant ke aage namaskar karke bola – Maharaj kisi vastu ki awasyakta ho to ni-sankoch bata dena.
Sant (former begger) said Raja ji, mujhe to kuch nahi chahiye lekin yadi aapko kuch zaroorat ho to mujhe bolna.

Bapu Ji added : "kahan to bhikari, lekin anter chetna ke prakash se kitna samarthya aa gaya"
Hum sab bhi athah samarthya hote hue bhikari hi hai. kyonki apni asli shakti ko nahi jaan paye. Kab tak asli sukh se door rahoge lala ? Ab to samajh jao. Shor sharabe ki apeksha shant hokar andar ka sukh pao.
Bapu Ji sung the kirtan with dyan
"Hare Ram Hare Ram, Ram-Ram Hare Hare !
Hare Krishna Hare Krishna, Krishna-Krishna Hare Hare!!"

Narayan Hari
Hariom..

Pujya shri ekant ke liye aaye the lekin jahir satsang ho gaya. Ab to Bapu Ji ne swayam hi bata diya ki Monday yani Avatan Diwas tak Sai yahi Chandigarh Ashram me hi rahenge. Baki Sai ki mauj hai.
Satsang ka laabh rozana aas paas ke sadhak khoob-khoob le rahe hain.

Unme se kuch bindu yaha par likh raha hoon. Galti ke liye kshama prarthi hoon.

Satsang Pearls of Day2 (05-April-2007) at Chandigarh Ashram :

Pujya Bapu Ji was in his full "Mauj" yesterday. Bapu Ji had askedseveral spiritual questions from us (sadhak). I am writing some of themhere.
1) Woh kaun hai jo kabhi bhi apni karuna dena band nahi karta?
2) Woh kaun hai jo dilo ki dhadkan ko chalata hai?
3) Woh kaun hai jo sarv vyapt hai?
4) Woh kaun hai jo suksham se bhi suksham hai aur bade me bada hai?
The answer you know very well.

Other questions
5) Aisa kaun sa gyan hai jise pane ke baad kuch pana shesh nahi rahjata?
6) Aisa kaun sa gyan hai jo sarvshreshth hai?
7) Aisa kaun sa gyan hai jo ishwar ko bhi aapke peeche aane ko vivashkar de?

All said "Aatm Gyan" / "Brahm Gyan"Bapu ji said "kewal sun kar bol diya, kabhi anubhav bhi kiya hai"

Next questions :
8) Atma kaisi hoti hai ? kitni badi ya choti hoti hai?
9) Atma kaha rahti hai?All were silent then for few minutes.

Any one of us said " Bapu Ji, Atmahriday(dil) me rahti hai "Bapu Ji said " Agar atma dil me rahti hai to iska matlab atma dil sechoti hai. Aur agar atma choti hai to itni shaktishali kaise hai?"Then Bapuji given an example. He added " Ek factory me kai machine hotihai. Unko chalane ke liye wiring hoti hai jo ki machino ko chalati hai,lekin in sabse bhi shukshm vidyut hoti hai jo dikhai bhi nahi detiparantu sab machino ko gati deti hai. Isi prakar Atma bina dikhe bhisabhi ko gati deti hai."