Saturday, April 07, 2007

Aaj ke satsang ke kuch bindu:

Kuch baate jaan lo :
1) Sharir swapna hai aur badalne wala hai. Isme asakti rahegi to dukho se peecha nahi chutega.2) main chetan swaroop hoon. Woh sat hai, chetan hai, gyan swaroop hai, anand swaroop hai.3) main duki hoon, main beemar hoon, main 60 saal ka hoon mera beta aisa hai... aadi aadi. yeh sabhi manyataye kalpanik hai."So sahib sat sada hazoore, andha janat ta ko doore."
paath karo aur paath karke shant ho jao, uske anubhav me dhoob jao.jaap karo aur jaap karke shant ho jao, parmatma ke dhyan me doob jao.to parmatma bahut jaldi milenge aur yahi dukh mitane ka sundar tarika hai.
"Jaisa sapna rain ka taisa yeh sansar."
4) Usi main aaram pao. usi mein chup ho jao. Nind nahi, aalasya nahi, kalpna nahi varan vishram pao. Samay bahut kimti hai. kaun pata nahi kab aur kahan se chal de.
har yug ka apna ek taran mantra hai. satyug ka apna taran mantra hai, treta yug, dwapar yug ka bhi apna mantra hai.
kalyug ka bada saral mantra hai.
"Hare Ram Hare Ram, Ram Ram Hare Hare, Hare Krishna Hare Krishna Hare Hare!!"
Sansar ko apne se milana, Aur Rab ko apne se hatana asambhav hai.
Jisko chod na sake woh hai parmatma.

Narayan Hari

No comments: